karta rahunga shukre khuda mai hussain hoon
khanjar ke neeche doonga dua mai hussain hoon
mal lunga apne rukh pe lahoo apne laal ka
phir bhi na uff karunga zara mai hussain hoon
karta rahunga shukre...
aedi ragadta hoga jahan mera naujawan
hoga wahin budhapa mera mai hussain hoon
karta rahunga shukre...
hai baazuon mein mere kate baazuon ki laaj
dekhe zamana meri wafa mai hussain hoon
karta rahunga shukre...
fidya diya tha tum ne to patti thi aankh par
dekho khaleel mujhko zara mai hussain hoon
karta rahunga shukre...
roohe rasool nikli mere khushk halq se
qatil samajh raha hai mera mai hussain hoon
karta rahunga shukre...
sajde mein thay hussain to gardan pe thi churi
maula ne tab khuda se kaha mai hussain hoon
karta rahunga shukre...
ab karbala ke dasht mein goonjegi siskiyan
zehra karengi mujhpe buka mai hussain hoon
karta rahunga shukre...
tatheer be-rida hai to kaaba be-ghilaaf
laasha bhi be-kafan hai mera mai hussain hoon
karta rahunga shukre...
karte rahenge aamir o nayyar meri azaa
dono pa hogi meri ataa mai hussain hoon
karta rahunga shukre...