farsh majlis ka kahin bichta hai jab bhi zainab
mere bacche tujhe dete hai salaami zainab
haye zainab haye zainab
taaziya khano mein aankhon ko bighone waale
kaise bhoole tujhe shanbir ko rone waale
ki ye bunyad e aza tu ne hi rakhi zainab
mere bacche tujhe dete...
teri qurbaniyan bhoolengi na insano ko
raunaqein de gayi dunya ke azakhano ko
tere ujde huwe qaime ki udaasi zainab
mere bacche tujhe dete...
kisko kehte hai sukoon tera jigar kya jaane
terri nazron mein hai ghazi ke tadapte shaane
aur phelu mein kisi jhoole ki garmi zainab
mere bacche tujhe dete...
tu ne mit'ti hui shabbar ki nishani dekhi
khoon ugalti hui akbar ki jawani dekhi
tu ne dekhi hai sakina ki yateemi zainab
mere bacche tujhe dete...
uff wo tapta hua sehra wo hussain ibne ali
haye wo khushk gala haye wo zaalim ki churi
haye maqtal mein wohi tu bhi khadi thi zainab
mere bacche tujhe dete...
rassiyon mein jo jakadte hai tere shaano ko
kaash itna koi batlade musalmano ko
tu hai mukhtare do aalam ki nawasi zainab
mere bacche tujhe dete...
umr bhar sar kabhi ghairat se uthaya na gaya
dard minhaal se bhi dil ka sunaya na gaya
pooche abid se koi teri aseeri zainab
mere bacche tujhe dete...
is qadar tashna jigar tashna dahan koi nahi
laakhon behnein hai magar aisi behen koi nahi
bhai ki yaad mein beton ko na royi zainab
mere bacche tujhe dete...
aaye hai nayyar o aamir bhi salaami ke liye
hum to paida hi huwe teri ghulami ke liye
maaon behno ka sharaf teri kaneezi zainab
mere bacche tujhe dete...