hote hi reha farshe aza mera bichana
meri behna meri behna
bhai ka jo paigham hai dunya ko sunana
meri behna meri behna
mai hoo meri tanhai hai aur dashte bala hai
maine abhi asghar ka lahoo rukh pe mala hai
marne ke liye jaata hoo aur khushk gala hai
zainab miljaye jo pani to meri nazr dilaana
meri behna meri behna
sab mere asaase mein abhi aag lagegi
baysheer ke jhoole mein abhi aag lagegi
sajjad ke qaime mein abhi aag lagegi
zainab bemaar ko jalte huwe sholo se bachana
meri behna meri behna
ab chain sakina bhi meri paa na sakegi
ghairat se koi zakhm bhi dikhlana sakegi
maqtal ki zameen par usay neendh aa na sakegi
zainab tum usko kahani mere marne ki sunana
meri behna meri behna
jab shaam ke bazaar mein jaaogi khule sar
barsayega aansu sar e abbas e dilawar
koi bhi nahi hoga jo dede tumhein chadar
zainab is khaakh bhare chehre ko balon se chipana
meri behna meri behna
aayegi bahot narghaye kuffaar mein ghairat
khamoshi se seh lena magar saari musibat
gar royi to aajayegi dunya mein qayamat
zainab dil thaam ke apna bhare darbar mein jaana
meri behna meri behna
yaad aayega zindan mein sakina ko madina
hojayega dushwaar usay qaid mein jeena
jab aane lage maut ka maathe pe pasina
zainab tab meri tarha tum use seene se lagana
meri behna meri behna
yasrab ke taraf jaana agar qaid se chutkar
nana ko dikhana hai mere qatl ka manzar
rakh dena mera khoon bhara ammama lehad par
zainab aur poochna kya waada wafa hogaya nana
meri behna meri behna
amma se ye kehna ke ho jab waqt e shafa'at
aaye jo sava naize pe khursheed e qayamat
abbas ke shaano ko banaade wo zamanat
zainab hojaye azadaron ki bakshish ka bahana
meri behna meri behna
ek ujde huwe ghar ke azadaar hai dono
sajjad se bemaar ke bemaar hai dono
haan teri dua'on ke talabgaar hai dono
zainab mushkil se sada nayyar o aamir ko bachana