mohibbo jaane payambar ki ye sawari iai
hassan ke chote baradar ki ye sawari hai
butool e paak ke dilbar ki ye sawari hai
ke ibne hyder e safdar ki ye sawari hai
hussain kushta e khanjar ki ye sawari hai
adab se qayede se sar jhukaye saath chalo
udake khaak kaho haye sayyade khush khoo
ye chahiye hai ke sar peeto aur girya ho
mila na ghusl o kafan jis ghareeb o bekas ko
usi shaheed ki bekas ki ye sawari hai
hussain ibne ali tashnakaam khasta jigar
jhulaya jhoole mein gibreel ne jise aksar
janab e fatema zehra ki jaan noor e nazar
shaheed o bekas o mazloom fidya e daawar
nabi ke deen ke yawar ki ye sawari hai
diya na aab layeeno ne jisko ghurbat mein
butool jiske liye peet'ti hai jannat mein
khuda ka shukr kiya jisne har musibat mein
layeen ne kaata gala jiska haq ki ta'at mein
usi ghareeb ki muztar ki ye sawari hai
shaheed ho gaya jo teen roz ka pyasa
libaas le gaye sab loot kar sitam aara
jo zulm ho gaye unko bayan kare koi kya
hua ye qaher ke pamaal ho gaya laasha
hazaar haif usi sarwar ki ye sawari hai
ali bhi fatema bhi thi hussain ki shayda
ye motabar hai rawayet ke roz eid ka tha
libaas bheja khuda ne ye martaba paaya
kiya khush inko bane asht rahmat e wala
sawaar e dosh e payambar ki ye sawari hai
ye wo ghareeb hai jisko mila na ghusl o kafan
raha hai dhoop mein be gor jiska zakhmi tan
jo tha butool ka dildaar aur imam e zaman
phiri hai barehna sar karbala mein jiski bahen
usi ghareeb usi safdar ki ye sawari hai