shaheed e karbala hussain
qateel e nainawa hussain
momino sibte payambar ka janaza le chalo
qalbe zehra jaane hyder ka janaza le chalo
bekafan tashna dahan bekas ghareeb aashufta haal
kushta e shamsheer o khanjar ka janaza le chalo
momino sibte payambar...
sayyed o masoom o mehman o shahe dunya o deen
bekas o maghmoon o muztar ka janaza le chalo
momino sibte payambar...
zeenat e mohr e nabuwat raakib e dosh e rasool
raahat e jaan e payambar ka janaza le chalo
momino sibte payambar...
fatema zehra ne chakki pees kar paala jise
dilbar e khatoon e mehshar ka janaza le chalo
momino sibte payambar...
zaalimon ne qatl jisko be-khata ran mein kiya
us shahe mazloom o be-sar ka janaza le chalo
momino sibte payambar...
ummat e aasi ki bakshish mein jo koshaan hogaya
us shafi e roz e mehshar ka janaza le chalo
momino sibte payambar...
ki ibadat jis ne khaaliq ki tahe mehraab e taygh
us shaheed e raah e daawar ka janaza le chalo
momino sibte payambar...