Kanz e Aza

Mujhe Koi Gham Nahi

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

mujhe koi gham nahi hai magar ay hussain tera

meri fiqr ki hai manzil safar ay hussain tera


kya ajab tha ghayr leti mujhe har tarha ki fikrein

na jo gham rafeeq hota agar ay hussain tera


kabhi kufr ke muqabil to kabhi munafiqon ke

raha sar bakaf hamesha padar ay hussain tera


na ameer e shaam baqi na wo taaj o takht e shaahi

hai dilon pa ab bhi lekin asar ay hussain tera


isay apne khoon se tu ne nayi zindagi ata ki

hai ye deen mustafa ka shajar ay hussain tera


kisi hukmuran ka sadqa na muballighon ki koshish

hai ye deen ki baharein samar ay hussain tera


ay jina ke shaahzade tu zameen pa aa gaya kyun

ke musalsal ibtela hai safar ay hussain tera


kabhi dosh par nabi ke kabhi nok par ani ke

raha auj par hamesha qamar aey hussain tera


hui kehkashan si roshan sar e raahe shaam o kufa

gaya sar ba noke naiza jidhar ay hussain tera


na to aankh par hai patti na hi haath mein hai raasha

to khaleel dekhte hai jigar ay hussain tera


kya ajab tha paa e asghar se ubalta khoon ka chashma

agar aediyan ragadta pisar ay hussain tera


sar e hashr mere aaqa tu hi ye bhi dhyan rakhiyo

ke hai soz-o-khwan-o-shayir kidhar ay hussain tera


na dubara haazri gar ho naseeb e sibte jafar

to phir us ki samt se ho guzar ay hussain tera