mustafa girya kuna murtaza girya kuna
fatema noha kuna mere mazloom hussain
khoon seene se ubalta hai koi to roke
saath hi dum bhi ukhadta hai koi to roke
jaan se jaata hai payambar sa jawan
fatema noha kuna mere mazloom hussain
mustafa girya kuna…
kisi naushah ki laash aayi hai maqtal se abhi
aur dulhan koi khamosh hai sakte may khadi
sare qaima hai qayamat ka samaa
fatema noha kuna mere mazloom hussain
mustafa girya kuna…
gurz ka waar laga sar pa to sambhla na gaya
apne rehwaar se bedast zameen par aaya
mashk seene se magar hai chaspan
fatema noha kuna mere mazloom hussain
mustafa girya kuna…
laashe baysheer liye qaime ki simt aate hai
jaane kya soch ke phir shaah palat jaate hai
muntazir hai dare qaima par maa
fatema noha kuna mere mazloom hussain
mustafa girya kuna…
khoon barasta hai fizaon se larazti hai zameen
shah-e-deen sajdaye aakhir may jhukate hai jabeen
yehi sar hoga sare noke sina
fatema noha kuna mere mazloom hussain
mustafa girya kuna…
zakhm sajjad ka is tarha se rista jaye
tauq gardan may lahoo tauq pa girta jaye
aur paon may wo zanjeere garan
fatema noha kuna mere mazloom hussain
mustafa girya kuna…
shimr barchi se utarega jo zainab ki rida
ran may shahid tadap uthega jari ka laasha
ab haram ka nahi koi nigaran
fatema noha kuna mere mazloom hussain
mustafa girya kuna…