de diya har imtehan
beh gaya saara lahoo lekin na ghabraye hussain
apne hi haathon pe apni laash le aaye hussain
na ghabraye hussain
seena e akbar mein barchi dekh ke royi qaza
fatema ke laal par ye imtehan ka waqt tha
boli zainab haye hussain
na ghabraye hussain
beh gaya saara lahoo...
ek ke baad ek laasha dasht se laate rahe
godh ke paalon ka dil par zakhm bhi khaate rahe
kitne laashe laaye hussain
na ghabraye hussain
beh gaya saara lahoo...
qabr asghar ki bana kar aaya ibne bu-turab
maut boli teri daulat dekh ay umme rabab
dasht mein chod aaye hussain
na ghabraye hussain
beh gaya saara lahoo...
qatl ghazi ho gaya jab ho chuke baazu qalam
boodhe kaandho par utha kar khoon mein dooba alam
dasht se jab laaye hussain
na ghabraye hussain
beh gaya saara lahoo...
kat chuki jab fauj saari dil tha gham se payemal
teen din ke bhooke pyase aur zakhmon se nidhal
jang ladne aaye hussain
na ghabraye hussain
beh gaya saara lahoo...
ek taraf zehra ka beta ek taraf nau laakh taygh
wo chamakte teer o naize sab the pyase khoon ke
zulm se takraye hussain
na ghabraye hussain
beh gaya saara lahoo...
choor thay zakhmon se maula teer aur talwar ke
aakhri sajde ki khaatir pusht se rahwaar ke
jab zameen par aaye hussain
na ghabraye hussain
beh gaya saara lahoo...
shaah ki mazloomiyat par hogayi zehra gawah
jhaadti thi apne baalon se pisar ki qatl gaah
maa pukari haye hussain
na ghabraye hussain
beh gaya saara lahoo...
likho mazhar abidi jab ho chuke sab imtehan
shukr ka sajda kiya tha sheh ne ho kar shadman
qatl hone aaye hussain
na ghabraye hussain
beh gaya saara lahoo...