bazaar ho kar zindan se chut kar
zainab aagayi nana
pardes jaa kar ujda mera ghar
bichde baradar sab kuch luta kar
nana tere shehr mein zainab ujad ke aagayi
mai to ujad gayi hoo karbobala basa gayi
nana tere shehr mein...
ay nana sun sako to rudaad e gham sunaun
jo zakhm maine khaye wo sab tumhe dikhaun
sare karbala mera ghar luta
baradar gaye chini hai rida
mai to ujad gayi hoo
bhai se jo kiye wo waade sabhi nibha gayi
nana tere shehr mein...
maahe rajab mein mera bhai watan se nikla
ay nana baad tere ummat ne yun sataya
suye karbala chala khaafla
musafir bana tera laadla
mai to ujad gayi hoo
ab mera ghar lutega ye baat dil ko kha gayi
nana tere shehr mein...
sheh ne zameen khareedi karbal hai naam jiska
itne mein ashkiyan ki faujon ne hum ko ghera
qayaam e haram khuda ki qasam
hatay nehr se hua ye sitam
mai to ujad gayi hoo
ye baat mujhko nana tasveer e gham bata gayi
nana tere shehr mein...
phir saatvi se nana pehre thay alqama par
pani ki bandishein thi aulaad e fatema par
mere tifl sab huwe jaan balab
ghareeb ul watan huwe tashna lab
mai to ujad gayi hoo
ye dard sehte sehte ashoor ki shab aa gayi
nana tere shehr mein...
ashoor ki wo shab to rote huwe guzaari
subhe daham ki nana akbar ne jab azaan di
wigha zulm ki shuru hogayi
sare karbala qayamat hui
mai to ujad gayi hoo
bhai ne jo khareedi sab ko zameen ye kha gayi
nana tere shehr mein...
ek ek kar ke nana peer o jawan sidhare
maqtal mein koi soya koi nehr kinare
gule tan mere baradar mere
khafa hogaye kahin khogaye
mai to ujad gayi hoo
naion pe sab ke sar thay kaisi ghadi ye aa gayi
nana tere shehr mein...
khanjar chala tha jis dum shabbir ke gale par
sab zulm dekhti thi ye bad naseeb khwahar
gala kat gaya mere bhai ka
kafan bhi usay nahi mil saka
mai to ujad gayi hoo
phir iske baad nana aandhi ghamon ki cha gayi
nana tere shehr mein...
larza nabi ka rauza mazhar ye bain sun kar
kaise bayan karega farshe aza pe safdar
kahan ho saka bayan qaid ka
yahin khatm hai mera marsiya
mai to ujad gayi hoo
kehti thi binte zehra nana mai lutke aa gayi
nana tere shehr mein...