kitna ghareeb hogaya hussain
asghar ko dafn kar chuka jab fatema ka laal
tanhaai apni dekh kar kehta tha pur malaal
nau laakh ka raila amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
beenayi ja chuki hai jigar paash paash hai
is haal mein bhi laashe pisar ki talaash hai
akbar ka hai laasha amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
nau laakh ka raila...
amma ye aafatein ye masaib ye tashnagi
ghurbat mein saath chod gaye hai mera sabhi
zakhmo ki ye dunya amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
nau laakh ka raila...
na fauj reh gayi na alamdar reh gaya
bas reh gaya to tera dilafgaar reh gaya
hai zulm ka sehra amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
nau laakh ka raila...
waade sabhi nibha ke hua aise surkh roo
balon mein khaak chehre pe baysheer ka lahoo
haathon pe janaza amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
nau laakh ka raila...
daulat rabab ki sare maqtal chupayi hai
apne zaeef haathon se turbat banayi hai
karta raha nauha amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
nau laakh ka raila...
bachpan mein kitne naaz uthaye hai yaad hai
ek pal bhi khud se door na karti thi tu mujhe
ye waqt hai kaisa amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
nau laakh ka raila...
awaaz e isteghasa sune kaun ab yahan
abbas hai na qasim o akbar na bezaban
ab kaun hai mera amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
nau laakh ka raila...
jis phool se badan pe kabhi dhoop na padi
teeron ne chaan daala hai amma badan wohi
marham na dilaasa amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
nau laakh ka raila...
ek daur tha ke ghar se agar mai kahin gaya
saaye ki tarha saath mein rehte thay aqraba
ek ye hai zamana amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
nau laakh ka raila...
ye barchiyo ki naizo ki dunya hai aur mai
tanhai fauje shaam ka nargha hai aur mai
de mujhko dilaasa amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
nau laakh ka raila...
zakhmo se choor choor badan qalb aur jigar
faryaad hai labon pe khaba hai lahoo mein tar
chalni hai kaleja amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
nau laakh ka raila...
farhan us ghareeb ki lachaar ki buka
haan mazhar abidi ka qalam likh nahi saka
hai bas ye khulasa amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
nau laakh ka raila...