Kanz e Aza

Noke Naiza Pe

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

haye bekasi bhai aur behan ki

shaam haye shaam


berida dekh kar ro raha hai

nok e naiza pe bhai mera


boli zainab mera aasra hai

nok e naiza pe bhai mera


sura e kehf ki hai hai tilawat

mere bhai ke sookhe labon par

bas kalaam e khuda ki hai qiraat

mere bhai ke sookhe labon par

kibriya ki sana kar raha hai

nok e naiza pe bhai mera

berida dekh kar...


ummat e jad ko khud bakhshwane

aaya tha karbala mera bhai

aur shifa'at ke raste bataane

aaya tha karbala mera bhai

ahde tifli ada kar raha hai

nok e naiza pe bhai mera

berida dekh kar...


maangti hoon rida jab kisi se

thartarata hai naize pe bhai

mar gaye haye tum mere bhaiya

maut mujhko magar kyun na aayi

par dilaase mujhe de raha hai

nok e naiza pe bhai mera

berida dekh kar...


chin rahe hai sakina ke gauhar

khaa rahi hai tamache wo paiham

keh rahi hai wo ay mere baba

kar rahi hai wo ro ro ke matam

bebasi se usay dekhta hai

nok e naiza pe bhai mera

berida dekh kar...


thi jo bhai ke aankhon ki thandak

haye wo binte shaahe madina

karbala se chale hum jo kufa

gir gayi raaste mein sakina

khud ba khud raah mein ruk gaya hai

nok e naiza pe bhai mera

berida dekh kar...


hum ne is tarha se zindagi mein

aise raste to dekhe nahi thay

usi kufe ke bazaar se hum

kabhi be-parda guzre nahi thay

bas yehi soch kr ro raha hai

nok e naiza pe bhai mera

berida dekh kar...


wo jo bibi pe raste mein guzre

phat rahe hai jigar us alam se

shadman tha jo zainab ka nauha

likhdo majid wo apne qalam se

mera ghamkhwar har dam raha hai

nok e naiza pe bhai mera

berida dekh kar...