Kanz e Aza

Paighame Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

zinda rehega paigham e hussain ibne ali

islam sada zinda painda rahega

paighame hussain ibne ali


mit jayega har naksh har ek sheh ko fana hai

lekin shahe mardan ki qasam haq ko baqa hai

shabbir ne khanjar ke talay waada liya hai

islam sada zinda painda rahega

paighame hussain…


ahmed ke nawase ka haqeeqat mein karam hai

islam salamat hai hifazat mein haram hai

shabbir to insan ki azmat ka bharam hai

hai azmat ka ye taara yuhin raqshinda rahega

paighame hussain…


phir soch le hai waqt abhi khoob samajh le

shabbir ko azmat ki kasauti pe parakh le

ye baat haqeeqat hai isay zehn mein rakhle

haq ubhrega baatil sada sharminda rahega

paighame hussain…


har saal muharam mein manate hai yehi gham

karte hai yuhin sayyede abrar ka matam

hum ahle aza daur badalte nahi har dam

jo kal tha wohi aaj hai aainda rahega

paighame hussain…


shabbir ka matam na rukega na ruka hai

wallaha ye masooma e aalam ki dua hai

is gham ke mukaabil mein jo gham laaya gaya hai

baatil hai wo mit jayega haq zinda rahega

paighame hussain…


phir khel rahe hai wo wohi khel purana

iblaagh ki quwwat se haqeeqat ka dabana

ye sach hai ke jhooton ka jahannam hai thikana

sharminda sada zulm ka karinda rahega

paighame hussain…


sach sach hai zamane mein fasana hai fasana

aasan nahi haq ki ye awaaz dabana

aalam mai hai mumtaz muhamad ka gharana

ye kaaba abad haq ka numainda rahega

paighame hussain…


aaeene ke surat se har ek chehra ayan hai

ghar kiska hai saudagar emaan kahan hai

kuch dushman ye aal ki had ahle jahan hai

kab tak ye dilon mein tay sare hinda rahega

paighame hussain…


shabbir ne wallah bada kaam kiya hai

islam pe jo teer chala dil pe liya hai

khoon e ragay gardan se isay ghusl diya hai

islam ka chehra yuhin tabinda rahega

paighame hussain....