Kanz e Aza

Pani Pilao

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Zafar. Lyrics in Roman Urdu.

pani pilao sabeelein lagao


pani piyo to yaad karo pyaas imam ki

pyason sabeelein hai ye shaheedon ke naam ki


mohamed ka pyasa nawasa hai ye

ali aur zahra ka pyara hai ye

pani pilao...


kayi roz ka haye tashnadahan hai

musafir hai aur ye ghareebul watan hai

ke toote dilon ka sahara hai ye

pani pilao...


pyare nabi ki pyari nishani

usay maar daalegi tashna dahani

mohamed ki aankhon ka taara hai ye

pani pilao...


pilaye jo qatil ko sharbat ke saaghar

pilayega jo hashr mein jaam e kausar

usi sher e hyder ka beta hai ye

pani pilao...


wo cheh maah ka asghar e bezaban hai

sakina si masoom tashna dahan hai

muslamano hum sab ka maula hai ye

pani pilao...


safar ki aziyat uthayi hai is ne

ghareebon ki basti basayi hai is ne

madine se mehman aaya hai ye

pani pilao...


karo pesh isko khiraaj e aqeedat

wo jis tashnalab ne bachayi shariyat

mohamed ki godhi ka paala hai ye

pani pilao...


adaa ki shahdat ne ye shamdani

bujhi hauze kausar pe tashna dahani

zafar aur amjad ka nauha hai ye

pani pilao...