sadaat pyase reh gaye
pani piyo to yaad karo pyaas imam ki
pyason sabeel hai ye shaheedon ke naam ki
khanjar talay hussain ko pani nahi mila
pyason karo qabool ye tohfa hussain ka
chaahat hai ye hussain alaihis salaam ki
pyason sabeel hai ye...
pani piyo to yaad karo...
jannat mein kar chuka hai khuda jis ka ehtemam
kausar rakha hai aayat e kausar mein jis ka naam
jageer ye sabeel hai baara imam ki
pyason sabeel hai ye...
pani piyo to yaad karo...
aati hai is sabeel pe ujdi wo bibiyan
yani ali o fatema zahra ki betiyan
ye bargah bhi hai shahe tishna kaam ki
pyason sabeel hai ye...
pani piyo to yaad karo...
pani ka intezaar sakina se poochiye
asghar ki maa rabab e hazeena se poochiye
rasm e sabeel jis ne zamane mein aam ki
pyason sabeel hai ye...
pani piyo to yaad karo...
jab karbala shanawar o salman jayenge
pyason ke naam par wahan pani pilayenge
zahra ki naukri hai ye khidmat imam ki
pyason sabeel hai ye...
pani piyo to yaad karo...