Kanz e Aza

Zainabam

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Salman Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

tanhaai-e-man

man zulfiqar-e-hyderam

man aitbaar-e-khwaharam

man zainabam


ay shaamiyon mai binte nabi binte ali hoon

zainab hoon mai zainab hoon mai zainab hoon mai

quran ke saaye may pali hoon

zakhmi hoon azadar hoon rassi may bandhi hoon

main phir bhi na zaalim se dari thi na dari hoon


tanhaai e man

man charagh-e-mustafa

man jalaal-e-murtaza

man shakista zainabam

man zainabam


man zulfiqar-e-hyderam

man aitbaar-e-khwaharam

man zainabam


naize pe mere bhai ka sar tum ne chadhaya

turbat may ali aur nabi ko hai rulaaya

jitna bhi sataana tha hamay tum ne sataya

par bayyat-e-zaalim pe na sar hum ne jhukaya


tanhaai e man

man charagh-e-mustafa

man jalaal-e-murtaza

man shakista zainabam

man zainabam


man zulfiqar-e-hyderam

man aitbaar-e-khwaharam

man zainabam


hai akbar o shabbir se abbas se waada

jab bhi dar e zindan e sitam mujhpe khulega

matam mere pyaron ka bapa shaam may hoga

phir matam-e-shabbir na ta hashr rukega


tanhaai e man

man charagh-e-mustafa

man jalaal-e-murtaza

man shakista zainabam

man zainabam


man zulfiqar-e-hyderam

man aitbaar-e-khwaharam

man zainabam


paigham-e-hussaini ka diya jalta rahega

abbas ka parcham bhi har ek ghar may lagega

salman o ali jee azakhana to sajega

aelaan sada khutba-e-zainab ye karega


tanhaai e man

man charagh-e-mustafa

man jalaal-e-murtaza

man shakista zainabam

man zainabam


man zulfiqar-e-hyderam

man aitbaar-e-khwaharam

man zainabam