zikr jab zainabe muztar ka bayan hota hai
khoon sajjad ki aankhon se rawan hota hai
daste shabbir pe baysheer ne saabit ye kiya
hashmi khoon to bachpan se jawan hota hai
khoon sajjad ki aankhon se rawan hota hai
zikr jab zainabe muztar...
noke naiza se lehad mein se nikaale laasha
zulm aisa ye zamane mein kahan hota hai
khoon sajjad ki aankhon se rawan hota hai
zikr jab zainabe muztar...
bhai beton ke ho be-gor o kafan laashe pade
aise aalam mein qayamat ka samaa hota hai
khoon sajjad ki aankhon se rawan hota hai
zikr jab zainabe muztar...
fatema zehra wahan khud hi pahunch jaati hai
zikre hasnain shareefain jahan hota hai
khoon sajjad ki aankhon se rawan hota hai
zikr jab zainabe muztar...
aao sajjad ki aankhon ke lahoo ko dekho
manzar e karbobala saara ayan hota hai
khoon sajjad ki aankhon se rawan hota hai
zikr jab zainabe muztar...
tu ameer ek nahi shaah ke gham mein shaamil
mehwe gham aaj to har kon o makan hota hai
khoon sajjad ki aankhon se rawan hota hai
zikr jab zainabe muztar...