Kanz e Aza

Aagayi Shaam ki Nagri

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

aagayi shaam ki nagri may khule sar zainab

maangti reh gayi ek ek se chadar zainab


is liye zaalimon ne aur bhi pathar maare

jaante thay ke hai abbas ki khaahar zainab

aagayi shaam ki nagri may...


karwatein lene lagi laashe hussain ibne ali

bhai ki laash pe aayi jo khule sar zainab

aagayi shaam ki nagri may...


band ho jaati thi khud naize pe chashme abbas

jab nazar aati thi naaqe pe khule sar zainab

aagayi shaam ki nagri may...


yaad aa jaati thi us waqt usay nana ki

naize pe dekhti thi jab sar e akbar zainab

aagayi shaam ki nagri may...


tujhko chadar na di kam zarf musalmano ne

gard ne daal di sar par tere chadar zainab

aagayi shaam ki nagri may...


thi sar e shaam e ghariban wo misaale zehra

ban gayi shaam ke darbar may hyder zainab

aagayi shaam ki nagri may...


haal ye tha ke na pehchana usay shauhar ne

shaam ki qaid se aayi jo palat kar zainab

aagayi shaam ki nagri may...


ro diya kufe ke darbar may majid mukhtar

sar e darbar sitamgar thi khule sar zainab

aagayi shaam ki nagri may...