kehte thay hazrate shabbir ay bhaiya abbas
bache pyase hai inhe pani pilaana abbas
ek sookha hua mashkeeza sakina laayi
ab galay mil ke chacha se ye hazeena boli
laut kar aaoge ye waada karo ya abbas
kehte thay hazrate shabbir...
maine sab bachon se qaimon may kiya hai waada
pani laane ke liye nehr pe jaate hai chacha
tum hi waade ko sakina ke nibhaana abbas
kehte thay hazrate shabbir...
chal diya nehr ki jaanib wo jari ibne jari
nehr par qabza kiya pani se wo mashk bhari
palta qaimon ki taraf nehr se pyasa abbas
kehte thay hazrate shabbir...
bhai ke zaanu pe dam tod diya ghazi ne
shaah ghazi ka alam le ke suye qaima chale
ye alam tera hai ab mera sahara abbas
kehte thay hazrate shabbir...
wapas aata jo alam dekha sakina ne kaha
bachon tayyar raho le ke sab apna kooza
dekho wo pani liye aata hai pyara abbas
kehte thay hazrate shabbir...
jis ghadi qaime may daakhil huwe shaahe aalam
bole shabbir liye haathon may ghazi ka alam
chod do aas sakina nahi zinda abbas
kehte thay hazrate shabbir...
qaimon may majid o mukhtar ajab tha aalam
gird sab bache thay aur beech may ghazi ka alam
thi ye zainab ki sada ay mere bhaiya abbas
kehte thay hazrate shabbir...