abbas ke laashe par bayan karte thay sarwar
ay mere baradar
gardan pe chalega meri ab shimr ka khanjar
ay mere baradar
nasir na koi aur na madadgaar hai mera
mai hogaya tanha
loota gaya pardes mein amma ka bhara ghar
ay mere baradar...
abbas ke laashe pe...
jo mere wafadar thay sab mar gaye ansaar
koi nahi ghamkhwar
ab mera alamdar raha aur na ye lashkar
ay mere baradar...
abbas ke laashe pe...
tum sogaye abbas jo darya ke kinare
shaano ko kata ke
chin jayegi ab zainab o kulsoom ki chadar
ay mere baradar...
abbas ke laashe pe...
darwaza e qaima pe hai bechain sakina
bekal hai hazeena
roti hui darya pe chali aaye na muztar
ay mere baradar...
abbas ke laashe pe...
atfaal uthayenge meri pyaas ki eeza
pani na milega
dam todenge bache mere pyase hi tadapkar
ay mere baradar...
abbas ke laashe pe...
khush honge adoo zainab e muztar ko rulaake
le jayenge darbar mein be-maqna o chadar
khoon royegi har ek azadar ki aankhein
dil khenchegi aahein
laayegi tere haath jo amma sare mehshar
ay mere baradar...
abbas ke laashe pe...
mai baad e shahadat bhi uthaunga alam aur
hoyenge sitam aur
pamaal meri laash ko kardenge sitamgar
ay mere baradar...
abbas ke laashe pe...
awaaz mein rehan ke hilal aisa asar tha
rone laga darya
sar peet'ti thi mauje jo sheh kehte thay rokar
ay mere baradar...
abbas ke laashe pe...