Kanz e Aza

Hussain Ibne Ali ki

A noha written by Hilal Mirza. Lyrics in Roman Urdu.

jee rahe hai aabroo se hum jo hindustan mein

doston bas ye ghame shabbir ka ehsaan hai

jism mein kis kis ke kaisa khoon hai khud dekhlo

ye azadari nahi ye nasl ki pehchan hai


hussain ibne ali ki karo azadari

furaat e ashq e aza hashr tak rahe jaari

hussain ibne ali ki...


falak pe chand nazar aagaya moharram ka

hai soghwaar mahina hussain ke gham ka

khuloos e dil se karo ehtamam matam ka

nabi ki aal se karte raho wafadari

furaat e ashq e aza...

hussain ibne ali ki...


tumhare waaste zehmat uthaai maula ne

ye dukh ye ranj o musibat uthaai maula ne

jawan bete ki mayyat uthayi maula ne

do pursa shaah ko ab karke girya o zaari

furaat e ashq e aza...

hussain ibne ali ki...


bala ke dasht mein wo paasban e ahle haram

kata ke shaane bachaya hai deen ka parcham

hum isliye bhi uthate hai bawafa ka alam

zamana dekh le bedast ki alamdari

furaat e ashq e aza...

hussain ibne ali ki...


huwe hai baap ke haathon pe munqalib asghar

lahoo mein dooba hua hai ye dard ka manzar

jo teer aake laga bezaban ki gardan par

wo teer wazn mein tha bezaban se bhaari

furaat e ashq e aza...

hussain ibne ali ki...


zameen royi hai chashme falak bhi hai purnam

nabi ki aal pe dhaaya gaya wo zulm o sitam

sawaar e doshe payambar jo tha khuda ki qasam

usi ki laash ko pamaal karte hai naari

furaat e ashq e aza...

hussain ibne ali ki...


sitam huwe jo haram par bataun mai kaise

gala hussain ka kaata hai jab sitamgar ne

ridayein bibiyon ki chin gayi jalay qaime

tamache khaati thi har dam hussain ki pyari

furaat e ashq e aza...

hussain ibne ali ki...


nigahe haq mein ibadat hai majlis o matam

ho daur koi bhi karte raho hussain ka gham

yehi to fatema zehra ki dil ka hai marham

adaye ajre risalat hai sheh ki gham khaari

furaat e ashq e aza...

hussain ibne ali ki...


jo khaar paon mein daste hai aur nikalte hai

hai zauf itna ke girte hai aur sambhalte hai

jo raahe sham mein sajjad jhuk ke chalte hai

hai tauq bediyon ki is qadar gara bari


hilal nauha ye rehan ne pada aisa

har ek simt hai chaayi gham o alam ki ghata

utha hai majlis e sarwar mein shor girya ka

har ek aankh se ashk e aza huwe jaari

furaat e ashq e aza...

hussain ibne ali ki...