Kanz e Aza

Hussain Ibne Ali ki

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Ishrat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

hussain ibne ali ki choti beti qaid khane may

abhi tak ro rahi hai ek bachi qaid khane may


kaha sajjad ne baba ke jo seene pa soti thi

qayamat tak rahegi ab akeli qaid khane may

hussain ibne ali ki...


padi hai khaak par ranj o musibat ki rida odhe

hussain ibne ali ki shaahzadi qaid khane may

hussain ibne ali ki...


dam e aakhir jab aaya tasht may sar shaahe waala ka

na poocho kya qayamat ki ghadi thi qaid khane may

hussain ibne ali ki...


galay may tauq bedi paon may haathon may hatkadiyan

lehad sajjad ne kaise banayi qaid khane may

hussain ibne ali ki...


dam e aakhir kaha baba madad ka waqt aa pahuncha

sakina ne bhi hal min ki sada di qaid khane may

hussain ibne ali ki...


jise baba ke seene par bada aaram milta tha

wo apni maut se pehle na soyi qaid khane may

hussain ibne ali ki...


tasalli ke alawa kuch bhi tum ko de nahi sakta

sakina hai bahot bekas ye bhai qaid khane may

hussain ibne ali ki...


andheri raat thi honton pa sab ke ya hussaina tha

na poocho kis tarha se laash uthi qaid khane may

hussain ibne ali ki...


rabab e khastatan ki bekasi to dekhiye ishrat

lehad par ashkon ki chadar chadayi qaid khane may

hussain ibne ali ki...