kaha maadar ne bas itna bata do phir chale jaana
ali asghar mujhe surat dikha do phir chale jaana
tabussum ka samandar le ke aa jao mere dilbar
lagi hai aag qaimon mein bujha do phir chale jaana
kaha maadar ne bas...
jidhar bhi dekhti hoo bas udaasi hi udaasi hai
mera veeran ghar jannat bana do phir chale jana
kaha maadar ne bas...
tumhe dekhun kalaje se lagaun baal suljhaun
bas itni dayr mera jee badha do phir chale jaana
kaha maadar ne bas...
tassalli kuch to ho jaye mere toote huwe dil ko
mujhe jo tum pa guzri hai bata do phir chale jaana
kaha maadar ne bas...
tumhari yaad mein sughra madine mein tadapti hai
likhe kya khat mein sughra ko bata do phir chale jaana
kaha maadar ne bas...
andhere khaaye jaate hai mujhe shaam e ghariban ke
mujhe tum chand si surat dikha do phir chale jaana
kaha maadar ne bas...
judaai ka tassawur khaaye jaata hai mere dilbar
kahan tak gham uthaye ye bata do phir chale jaana
kaha maadar ne bas...
jo tum ne hurmala ke teer se ki guftagu ran mein
wo baatein aa ke ghar bhar ko bata do phir chale jaana
kaha maadar ne bas...
suna hai teer khaake ran mein beta muskuraye thay
hamare saamne bhi muskurado phir chale jaana
kaha maadar ne bas...
yehi nauha tha ishrat maadar e asghar ke honton pa
meri bigdi hui dunya bana do phir chale jaana
kaha maadar ne bas...