Haaye Asghar(a.s) Haaye Asghar(a.s)
Ho Mere laal kaha'n par
Kaise Ji paayegi Madar
Aa bhi jaa lout ke dilbar
Haaye Asghar(a.s) Haaye Asghar(a.s)
1. Kitne nazo'n se tujhe paala tha mere beta
loriyaa'n deke sulaaya hai tujhe aye beta
Sar tera bar sare naiza
Jab se aaya mere beta
roti hoon dil ko pakadkar
Haaye Asghar(a.s) Haaye Asghar(a.s)
2. Gham tera dil me samaane se samaata hi nahi
Tu hua Nahr yaqee'n mujhko ye aata hi nahi
Har bashar sonch raha hai
Haaye kya iski qata hai Kyun chala teer e sitamgar
Haaye Asghar(a.s) Haaye Asghar(a.s)
3. Jab fida hogae sab yawar o nasir ban mein
kehke labbaik mera Asghar(a.s) gaya tha ran me
Hatho'n me apne pidar ke
sab ko rulwadiya has ke
kha gaya teer gale par
Haaye Asghar(a.s) Haaye Asghar(a.s)
4. Teghe Haider(a.s) se banaayi gayi teri turbat
Tere baba pa thi aye beta wo kaisi gurbat
Sath paani bhi nahi tha
koi yawar bhi nahi tha
tar kiya qabr ko rokar
Haaye Asghar(a.s) Haaye Asghar(a.s)
5. Ghar mere laal ka aye logo manaate rahiyo
you'n hi gehwaara juluso'n me uthaate rahiyo
Mere mazloom ka maatam
Asghari
karte raho tum
Nouha besheer ka sunkar
Haaye Asghar(a.s) Haaye Asghar(a.s)
Kalaam : Anjuman e Asghari