Kanz e Aza

Kalaam : Janaab Haider Sahab

A noha recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Hum Anjuman e Asghari hai shah ke azadaar


Maatam ke liye rehte hain har haal me tayyar


1. Mazloom Hussaina ki sada rehti hai lab par

Karte hain sada matame Abbas(a.s) e alamdaar


Maatam ke liye rehte hain har haal me tayyar


2.Shabbir(a.s) ki nusrat ke liye jaan bhi denge

Hum karte hain khoo'n apna bahaakar yahi izhaar


Maatam ke liye rehte hain har haal me tayyar


3. Ashk e Ghame Hussian(a.s) hain aankhoo'n me hamaare

Deti hai duayei'n hamei'n zehra(s.a) jigar figaar


Maatam ke liye rehte hain har haal me tayyar


4. Hoti hai har ek ghar me bapa majlis e sarwar

poora hua armaane dile Zainab(s.a) nachaar


Maatam ke liye rehte hain har haal me tayyar


5. Azmat ghame shabbir(a.s) ki duniya ko bata do

Rota hai jo is gham me wo jannat ka hai haqdaar


Maatam ke liye rehte hain har haal me tayyar


6. Aa sakti nahi is pa musibat koi

Haider

Abbas(a.s) ke parcham tale rehta hai jo gham khwaar


Maatam ke liye rehte hain har haal me tayyar


Kalaam : Janaab Haider Sahab