Aye Aon o Mohammad, Aye Aon o MOhammad
Shere khuda ki beti ke bete hue shaheed
1. Maqtal me aaye Haidare safdar ke nawaase ki tarha lade haaye wo do nazo'n ke paale
Mamu pa fida hone ko kis shaan se aaye
2. Kya laaj rakhi tumne meri aye mere shero
lasho'n pa ye maa'n kehti thi muh mujhse na phero
Hai byaah rachaane ke kuch armaa'n mere thairo
3. Maa ki ye wasiyat hai na dekho sue darya
Aati hai ye aawaaz ke hai pyaas se girya
Cheh Maah ka Asghar(a.s) bhi to hai saath me pyaasa
4. Zainab ne kiya lasho'n pa youn shurk ka sajda
Bhai ki meri jaan ka dono hai ye sadqa
har simt se islaam pa hai bhai ka qabza
Kalaam : Janaab Raza Ali Sohai Sahab