Kanz e Aza

Marhaba Auno

A noha for Aon o Mohd (a.s), written by Ahmed. Lyrics in Roman Urdu.

marhaba aun o mohamed


jafar ke tum ho potay tum faqre murtaza ho

azm o bahaduri mein tum misle ba-wafa ho

dushmano ka naksha badaldo

karbala mein zulmat mita do

lab pe sarwar ke ye sada ho

marhaba aun o mohamed...


khyber ki tarha koofe ke dar ko tum ukhado

shimr e layeen ko maaro aur shaam ko tum lelo

naizon pe apne seene ko raylo

misle khyber ki jang jhelo

arsh se fatema ki dua ho

marhaba aun o mohamed...


taygh o tabar to todo darya pe karlo qabza

pani jo peeliya to bakshun na sheer apna

maa ki ismat ki laaj rakhlo

maut ke jaam ko has ke peelo

deen e ahmed ki par baqa ho

marhaba aun o mohamed...


baba ki tarha humle zaalim pe karo sheron

talwaro pe tan tan ke aage bado dileron

deene ahmed pe jaan luta do

dushmane sheh ke sar ko udha do

is ghadi dil se meri sada ho

marhaba aun o mohamed...


ahmed aqeel o rehan noha jo sunate hai

zehra ki hi chaukat se tauqeer wo paate hai

ghame shabbir mein khoob rolo

sheh ke matam mein khoon baha lo

par hussain ki bas ye baqa ho

marhaba aun o mohamed...