Kanz e Aza

Lene Aao Bhai

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Ahmed. Lyrics in Roman Urdu.

waqt e aakhir ye kaha akbar ne baba jaan

dekhlun ek baar phir se behna ko jo hai wahan

haa usi lamha nazar aayi madine ki zameen

kar rahi thi ye bayan sar ko jhukaye nazneen


lene aao bhai mujhko ghut raha hai dam yahan


dar pe apne sar ko rakh kar keh rahi thi nazneen

bhai akbar lene mujhko ab talak aaye nahi

yaad mein teri ye behna mar na jaye bhai jaan

lene aao bhai mujhko...


aankhon se uske bahe jaate thay ashkon ke chiraag

bekasi aur bebasi ka dil mein tha uske jo daagh

maathe ki har ek shikan se uth'ta tha gham ka dhuan

lene aao bhai mujhko...


hogayi hai wo firaaqe gham mein is tarha nidhaal

dekh kar sunsan dar ko lochti thi sar ke baal

yaad aate hai jo akbar sunti thi jab bhi azan

lene aao bhai mujhko...


baap ki shafqat kabhi aur maa ki mamta thi kabhi

bhai behno ki mohabbat pyar karti thi phupi

phirta tha aankhon mein uske har ghadi saara samaa

lene aao bhai mujhko...


haye bemaari ka aalam uspe hai tanhaiyan

choomti hai bhai akbar ke khadmon ke nishan

ashkon se likh likh ke khat mein kar diya sab kuch bayan

lene aao bhai mujhko...


baith kar din bhar musalle par ye karti thi dua

kunbe se mere milaado mujhko ay behre khuda

ghutniyon chalta ab hoga mera asghar be-zuban

lene aao bhai mujhko...


dil ka khoon ban kar siyaahi karta hai ahmed raqam

aur rahega ta qayamat dil mein ye irfan ke gham

sogh mein tere ay bibi rota hai saara jahan

lene aao bhai mujhko...