Kanz e Aza

Mohamed ka Nawasa

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

falak par chaand nazar aaya moharram ka

be saakhta aankhon ne meri khoon bahaya

logon ne mujhe rote huwe dekh ke poocha

shehzadi zara ye to bata gham hai ye kaisa

kyun farshe aza aap ne ghar mein hai bichaya


sughra ne kaha ahle madina

ghar zehra ka veeran hua hai

ay logon mohamed ka nawasa

pardes mein mehman hua hai


nana ke madine mein udaasi ka hai matam

hamshakle nabi hai na shehenshaah e do aalam

wehshat si barasti hai dar o baam se har dam

baba

jis din se gaye hai mere baba

ghar zehra ka veeran hua hai

ay logon mohamed ka...


jis din se gaye hai mere baba mere ghar se

ek lamha nahi aisa ke aansu nahi barse

dil mera sakina se mulaqaat ko tarse

dunya

is gham ko samjhti nahi dunya

ghar zehra ka veeran hua hai

ay logon mohamed ka...


is gham ko samajhti nahi dunya mere nana

sughra pe qayamat hai padar ka chale jaana

dil kehta hai is ghar ko musibat se bachana

allah

tu dekh raha hai mere allah

ghar zehra ka veeran hua hai

ay logon mohamed ka...


tu dekh raha hai mere allah udaasi

ahmed ka nawasa hai na ahmed ki nawasi

ummat ki nigahon mein nahi sharm zara si

kaaba

is gham mein siyaah posh hai kaaba

ghar zehra ka veeran hua hai

ay logon mohamed ka...


is gham mein siyaah posh hai kaaba bhi haram bhi

kulsoom bhi zainab bhi shehenshaah e umam bhi

akbar bhi chacha jaan bhi aur unka alam bhi

sughra

ye dard bataye kise sughra

ghar zehra ka veeran hua hai

ay logon mohamed ka...


ye dard bataye kise sughra ke hua kya

ghar qabr sa lagta hai na akbar hai na baba

is qabr mein hai fatema sughra ka janaza

sadma

sughra ko rulaata hai ye sadma

ghar zehra ka veeran hua hai

ay logon mohamed ka...


sughra ko rulaata hai ye sadma ali akbar

ghar waalon ki furqat mein guzar jayegi khwahar

dekhun koi gehwara to yaad aate hai asghar

ab kya

daaman mein mere reh gaya ab kya

ghar zehra ka veeran hua hai

ay logon mohamed ka...


daaman mein mere reh gaya ab kya mere nana

mazhar yehi faryaad kiya karti thi sughra

tum chaaho jo beemar ke zakhmon ka madawa

nauha

irfan suna do yehi nauha

ghar zehra ka veeran hua hai

ay logon mohamed ka...