mauje alqama kar rahi hai bain
lut gayi zainab lut gaye hussain
binte shahe lafata kar rahi hai marsiya
haye alamadar
nehr se aati hai ye sada
qatl alamdar ho gaya
pyaase thay sab nauha gar
thaam li sheh ne kamar
zainab e dilgeer ne kaha
qatl alamdar ho gaya...
kitna wafadar tha sab ka madadgaar tha
saaya e deewar tha fauj ka salaar tha
hogaye laachar hum kehte hai shaahe umam
ro rahi hai saath mein wafa
qatl alamdar ho gaya...
dukhtare shaahe umam kaise sahe ab ye gham
khaak nasheen hai haram dekhte girta alam
karne lagi marsiya pani nahi aayega
ek naya mujhko gham mila
qatl alamdar ho gaya...
laasha jawan bhai ka kaise uthega bhala
bole shahe karbala aaiye sher e khuda
mera sahara bano koi dilaasa to do
koi madadgaar na raha
qatl alamdar ho gaya...
haye ye laachargi pyasi sakina rahi
tooti umeedein meri aur kamar kham hui
mashk e sakina chidi beh gaya pani sabhi
kohe alam uspe jab gira
qatl alamdar ho gaya...
sunte ho akbar sada rote hai shaahe huda
fizza ne rokar kaha aao sambhalo zara
choota watan ghar luta pyase rahe gham na tha
ab hai masayeb ki inteha
qatl alamdar ho gaya...
ek alamdar ke jaane se ye gham mile
tashna dahan ro diye haath se kooze gire
hum ne to nauhe kiye ahle sitam khush huwe
shimr ne jab fauj se kaha
qatl alamdar ho gaya...
dasht mein shabbir par zulm huwe is qadar
safdar o mazhar magar tha wo ali ka pisar
sabr bhi karta raha shukr bhi karta raha
zabt ye gham ho nahi saka
qatl alamdar ho gaya...