nehr pe hazrate abbas ke laashe ke khareeb
ek behan khastatan o kushta jigar khufta naseeb
benawa bekas o beparda o lachaar o ghareeb
lekin uspar bhi mohamad ke gharane ki nakheeb
zard chehre pe hai bikhre hue balon ki naqaab
jaise juz daan mein lipti hui ismat ki kitab
ja baja jism pe hai khoon ke dhabbon ke nishan
jaise peeri mein uthayi ho koi laashe jawan
waram ankhon mein kamal kham hai to khamosh zaban
zapt ka phir bhi ye aalam hai ke girya na fughan
kaun bibi hai jo is tarha se jaan khoti hai
jis tarha laash pe bhai ke behan roti hai
mehwiyat ka hai ye aalam ke nazar hat'ti nahi
choomti hai kabhi shaane to kabhi jhuk ke jabeen
kabhi tharra'ta hai laasha kabhi maqtal ki zameen
khauf hai arshe ilaahi na ulat jaye kahin
laashe abbas pe ye dukhtare hyder to nahi
dekhiye dekhiye ye zainab e muztar to nahi
roke kehti hai utho saahib e shamsheer utho
hyder e asr utho waqt ke shabbir utho
aale tatheer ki soyi hui taqdeer utho
kaat do abide dilgeer ki zanjeer utho
aag hi aag hai bhadki hui qaimon mein tamaam
chin gayi sar se rida jati hoo mai suye shaam
shaane kya tere kate band gayi baazu mein rasan
sar pe kya gurz laga hogayi beparda behan
teri kya jaan gayi maare gaye shaah e zaman
fasle gul aisi luti hogaya barbaad chaman
chain se soyenge sab ahle sitam raaton ko
khaufe aada se na so payenge hum raaton ko
waqt e ruqsat hai mere sher ijazat de mujhe
khaafila chalne ko tayyar hai himmat de mujhe
khilmane kufr jala doo wo hararat de mujhe
yani taqreer mein shamsheer ki khaslat de mujhe
ran mein shamsheer chalana to mere kaam nahi
shaam o kufa na ulat doo to mere naam nahi