Nouha Tha Ya Zainab Ka Abbas Abbas
Mai Hoayi Ab Tanha Abbas Abbas
Kal Kaisa Bhara Ghar Tha Qasim The Aur Akbar Tha
Ghaiwaraye Asghar Tha Aab Chagaya Sannata
Shabbir Ki Tanhai Ruksat Huwi Binayi
Akbar Ki Sada Aayi Hafiz Hai Khuda Baba
Laash Aayi Jo Qasim Ki Maa Dekh Ke Hairan Thi
Kehti Thi Ye Har Bibi Kyun Tukde Huwa Dulha
Maa Jaye Ke Hathoun Par Maqtal Ko Gaya Asghar
Aankon Me Hai Wo Manzar Wo Teer Wo Chashmaha
Kehti Thi Rabab Aksar Aayega Mera Asghar
Ab Kaise Kahe Qahar Viraan Huwa Jhula
Shabbir Ki Gardan Par Jis Waqt Chala Qanjar
Kehti Thi Me Ro Ro Kar Beta Hai Ye Zehra Ka
Ab Mujh Ko Nahi Bhyya Gham Aon-o-Mohammed Ka
Gham Hai Tho Faqath Itna Majaya Na Baach Paya
Ham Shakle Payambar Ka Sar Nouke Sina Par Tha Aur Dhoop Me Tha Laasha Ab Kaise Jiya Laila
Begoro Kafan Lasha Tha Dhoop Me Bhai Ka
Sajjad Tadapta Tha Sar Nange Thi Mai Bhaiya
Qasim Hai Na Akbar Hai Bhai Hai Na Asghar Hai
Ek Abid-e-muztar Hai Aur Koi Nahi Mera
Ab Hal Mera Dekho Mai Kis Se Kahu Bolo
Sab Chod Gaye Mujko Kyu Reh-Gayi Mai Zinda
Wo Sham-e-Gharibo Ki Sehmi Huwi Har Bibi
Yaad Aati Rahi Teri Mai Deti Rahi Pehra
Zalim Ke Tamache The Aur Shimer Ke The Durre
Hasrat Se Sakina Ke Hooton Pa Tha Ye Nouha
Tum Naaz Uthate The Jis Pyasi Bhatiji Ke
Wo Khati Hai Ab Durre Zakmi Hai Badan Uska
Bazaron Ki Ruswayi Har Simth Tamashayi
Bedasth Mera Bhai Ab Mai Hoon Rasan Bastha
Nouha Hai Yehi Labpar Shaida-e-Ali Asghar
Karte Hai Dua Milkar Dikhlade Tera Rouza
Daman Hu Mai Phailaye Sadqa Tere Mil Jaye
Nouha Jo Pasand Aaye Dedi Jiye Dua Aaqha