Pucho Na Haal-e-Karbala
Pucho Na Haal-e-Karbala
Aayi Baqiyan Se Sada
Nana Ko Batlao Zara
Haye Zainab Ne Phir Rokar Kaha
Roti Hai Jane Murtuza
Sar Par Nahi Mere Rida
Haye Akhiyan Bahengi Ab Sada
Rokar Sakina Ne Kaha
Aao Phuphi Dekho Zara
Haye Baba Ka Sar Naize Chadha
Asghar Jo Pyasa Margaya
Apne Laho Me Bhar Gaya
Haye Maa Ka Sahara Chin Gaya
Qasim Jo Ghode Se Gira
Sara Badan Tukde Huwa
Haye Sahra Bikhar Kar Rah Gaya
Jis Dam Lagi Dil Par Sina
Be-Dam Huwa Kadyal Jawan
Haye Qaimo Me Tha Matam Bapa
Abbas-e- Ghazi Ba-Wafa
Pyasa Lab-e-Darya Raha
Haye Shane Katakar Sogaya