asghar mere kahan ho
pani mila to pyase ko maa dhoondti rahi
asghar ki qabr ka wo nishan dhoondti rahi
uth'ti thi aah bharti thi phir bait jaati thi
dil ka sukoon nauha kuna dhoondti rahi
asghar ki qabr ka wo nishan dhoondti rahi
pani mila to pyase ko...
aghosh mein sameint ke jhoole ki raakh ko
abbas ke alam ki amaa dhoondti rahi
asghar ki qabr ka wo nishan dhoondti rahi
pani mila to pyase ko...
qaima to jal chuka jale qaime mein jaa ke wo
hasrat se ghutniyo ke nishan dhoondti rahi
asghar ki qabr ka wo nishan dhoondti rahi
pani mila to pyase ko...
rakha hai toote kooze ko maa ne sambhaal kar
un kirchiyon mein nanha jawan dhoondti rahi
asghar ki qabr ka wo nishan dhoondti rahi
pani mila to pyase ko...
ghash se uthi to ujde huwe qaidiyon ke beech
umme rabab teer garan dhoondti rahi
asghar ki qabr ka wo nishan dhoondti rahi
pani mila to pyase ko...
pani galay ko maa ke laga teer ki tarha
wo phir kisi ki sookhi zuban dhoondti rahi
asghar ki qabr ka wo nishan dhoondti rahi
pani mila to pyase ko...
karbobala ke dasht mein zindan e shaam mein
abid wo apna khoya jahan dhoondti rahi
asghar ki qabr ka wo nishan dhoondti rahi
pani mila to pyase ko...