ay momino jab majlise shabbir mein aana
bachon ka tumhe waasta ye bhool na jaana
ye soch ke jee khol ke tum ashq bahana
majlis jahan hogi wahan aati hai sakina
pani na mila aaj bhi pyasi hai sakina
pyasi hai sakina haye pyasi hai sakina
allah kare aaye kabhi aisa zamana
ho shaam ke zindan ki taraf aap ka jaana
phat jayega dil dekh ke wo gham ka thikana
behaal hui qabr mein soti hai sakina
pani na mila aaj bhi pyasi hai sakina
yun jaanibe darya gaye abbase dilawar
aur darya se mashqeeza bhara ba-dile muztar
darya ki har ek mauj ye kehti thi tadap kar
hai teesra din haaye tadapti hai sakina
pani na mila aaj bhi pyasi hai sakina
shaam aagayi jab chaane laga ban mein andhera
zainab ne kiya bhai ke laashe pe ye nauha
kya tumne sakina ko kahin dekha hai bhaiya
ek kooza liye dasht mein aayi hai sakina
pani na mila aaj bhi pyasi hai sakina
jab gyara moharram ko suye shaam sidhari
darya ki taraf dekh ke zainab ye pukari
abbas na mar jaye bhatiji ye tumhari
behaal meri godh mein soti hai sakina
pani na mila aaj bhi pyasi hai sakina
is tarha sitam dhaate hai ab zulm ke baani
laakar ye bhare kooze baha dete hai pani
kuch aur bhi bad jaati hai yun tashna dahani
bhai ki taraf dekh ke roti hai sakina
pani na mila aaj bhi pyasi hai sakina
aansu abhi bachi ke nahi paaye thay thamne
phir maar diya durra kisi ehle sitam ne
sajjad ko har gaam rulaaya isi gham ne
is umr mein ye sakhtiyan sehti hai sakina
pani na mila aaj bhi pyasi hai sakina
durro ki aziyat se tadapti hai hazeena
dukhta hai badan siskiyan leti hai sakina
sone ke liye paas nahi baba ka seena
ek kone mein sehmi hui baithi hai sakina
pani na mila aaj bhi pyasi hai sakina
ye zulm bhi kamsin pe sitamgaaro ne dhaaya
rakha hai usay qaid wahan par yak o tanha
rehta hai jahan din mein qayamat ka andhera
darr darr ke na mar jaaye akeli hai sakina
pani na mila aaj bhi pyasi hai sakina
kehta hai suno haaton ko jode huwe gowhar
aaj aise bahe aankhon se ashkon ka samandar
ye kehti huwi jaaye na shabbir ki dukhtar
lab khushk zaban sookhi hai roti hai sakina
pani na mila aaj bhi pyasi hai sakina