Kanz e Aza

qaasid mera qat leja ehsaan bada hoga

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

qaasid mera qat leja ehsaan bada hoga

baba mera koofe me mehmaan hua hoga

qaasid mere baba ki pehchaan badi ye hai

abbas alam lekar baazu me khada hoga


qaasid mere bhai ki shaadi ke yahi din the

hamshakle payambar hai sehra bhi bandha hoga

qaimo me qabar dena qaasid hu mai soughra ka

mere ghame furqat me ek shor macha hoga


dene ko rakha kya hai lelijiyo tum jaakar

akbar ne mera tohfa eedi ka rakha hoga