qabr pe bhai ke kehti thi ye rokar zainab
aayi hai shaam ke zindan se chut kar zainab
bekafan laash padi thi tumhari maidan mein
ye na samjho ki behan bhool gayi zindan mein
roti rehti thi isi yaad mein muztar zainab
qabr pe bhai ke...
aap ke baad bade zulm o sitam hum pe huwe
maal o asbaab lutay qaime jalay qaid huwe
karbala se gayi ta shaam khule sar zainab
qabr pe bhai ke...
mera bemaar agar zauf se ruk jaata kahin
pushte bemaar mein naizon ko chubate thay layeen
bhaiya reh jaati thi us waqt tadap kar zainab
qabr pe bhai ke...
ek choti si rasan mein thay bandhe sab qaidi
saath hi saath mein gardan thi bandhi bachi ki
har qadam khaati thi taqdeer ki thokar zainab
qabr pe bhai ke...
kya sunaun dil e muztar ka fasana bhaiya
chil gaya sakht rasan se mera shaana bhaiya
is tarha baandhi thi rassi se jakad kar zainab
qabr pe bhai ke...
karti thi kham to sukoon paate thay bache mere
seedhi hone se gale bachon ke kas jaate thay
is liye chalti thi bazaar mein jhuk kar zainab
qabr pe bhai ke...