qabre sarwar pe kaha zainab ne ro kar alwida
kuch khabar hai hum pe kya guzri baradar alwida
aag qaimon mein laga di lashkare kuffar ne
cheen li saydaniyon ke sar se chadar alwida
qabre sarwar pe...
bekhata maare sakina ko tamache shimr ne
le liye masoom ke kaano se gohar alwida
qabre sarwar pe...
thi bahot ummeed hai abbas sa bhai mera
mai na jaungi kabhi kufe khule sar alwida
qabre sarwar pe...
shaam ke darbar mein thay saat sau kursi nasheen
thi rasan basta wahan aale payambar alwida
qabre sarwar pe...
kunbe waale saath thay jab mai watan se aayi thi
aaj jaati hoon akeli ghar luta kar alwida
qabre sarwar pe...
aao mil to lo behan jaati hai ab suye watan
muntazir hai dukhtare khatoon e mehshar alwida
qabre sarwar pe...