QABR-E-SHAH-E-BEKAS SE WATAN AAYI HAI ZAINAB
SAAMAN-E-AZA DEKHIYE KYA LAAYI HAI ZAINAB
Kunbe ko liye saath gayi thi main watan se
Aye sheher-e-madina kaho kyun Aayi hai Zainab
Bhai nahi Qasim nahi Asgher bhi nahi hain
Kuch bibiyon ko saath liye aayi hai Zainab
Hai Aun-o-Mohammed na hain Abbas-e-Dilawar
Yuin madfan-e-Zehra pa chali aayi hai Zainab
Dekha hai lahu behte huwe zakhme jigar se
Hai Hai Ali Akber ke bina aayi hai Zainab
Tha aik hi bano ke dil ka jo sahara
Zindaa’n mein Sakina ko bhi dafnayi hai Zainab
Shabbir ka sar kaatke naize pa chadhaya
Kya kya na karbala mein ye dukh payi hai Zainab
Tha Tauq-e-Giraa’n Abid-e-Muztar ke gale mein
Beemar bhatije ko bacha layi hai Zainab
Had darja sitam shaam ke zindaa’n mein sahe hain
Darbar mein baazar mein tharrai hai Zainab
Shaano pa nashaa’n zulm ke dikhlane mai amma
Kyunkar kaho turbat pa chali aayi hai Zainab
Tha kaun jo Shabbir ke madfan se hata ta
Dukh payi hai sharmaai hai ghabraai hai Zainab
Roodad-e-Safar karke bayaa’n maa ki lahad par
Durro’n ke nashaa’n pusht pa dikhlayi hai Zainab
Shabbir ko begor-o-kafan dekha hai Qasim
Saye mein na baithegi qasam khayi hai Zainab