RO RO KE BAYAN KARTI THE YE FATIMA SUGHRA-KAB AAOGE BABA
AB KAISE JEYUN MUJH SE JUDA HOGAYA KUNBA-KAB AAOGE BABA
Kya aap ne soncha nahi kis haal mein hogi – Beti ye tumhari
Ab din mein bhi chaya hai nigahon mein andhera – Kab aaoge baba
Bimaar ye beti kahin marjaye na gham se – Ab ranj-o-alam se
Kyu kar ho mujhe aap ki furqat ye gawara – Kab aaoge baba
Wapas nahi aaoge kya baba ye batao – Mujh ko na rulao
Din raat tasawwur mein hai ek aik ka chehra – Kab aaoge baba
Yaad ata hai bhaiya Ali Asghar ka humakna – Wo mujh se lipatna
Ab uske tasawwur mein jhulati hoon mai jhula – Kab aaoge baba
Ho khair mere qafele walon ki khudara – Ho chain se kunba
Aati hai bahot yaad bahen mujh ko Sakina – Kab aaoge baba
Bhaiya Ali Akber mujhe lene nahi aye – Ne khat hi bhijaye
Kyun mujh se khafa hogaya pyara mera bhaiya – Kab aaoge baba
Dil tootne lagte the Sohail bain ye sunkar – Jab kehti thi dukhtar
Ajaeye ab aur na tard paeye baba – Kab aaoge baba