Aashoor ko aaya ye khatte Fatima Sughra Soona Hai Madina
Kab laut ke ghar Aaoge Ya Shahe Madina Soona Hai Madina
Me dar pe khadi rehti hu'n ek aas lagaaye Bhayya nahi'nAaye
Shikwa nahi'n Akbar se hai Taqdeer se shikwa Soona Hai Madina
Do din se Mere halq se paani nahi'n utra qurbaan ho Sughra
Dil kehta hai pardes me Tum pyaase ho Baba Soona Hai Madina
Pardes me Bhayya ho agar byaah Tumhara armaan hai Mera
Baandhe huwe Sehra meri turbat pe bhi aana Soona Hai Madina
Main raato'n ko soti hu'n to jaag uthti hu'n aksar kya baat hai aakhir
Bikhraaye huwe baal nazar aati hain Zehra Soona Hai Madina
Ek sheeshe me kuch khaak liye phirti hain Daadi aur karti hain Zaari
Mazloom Hussaina Mera Mazloom Hussaina Soona Hai Madina
Amma ki bhari godh rahe maang na ujde Khaaliq se Dua hai
Ya Rab Mere Be Sheer ka Aabaad ho jhula Soona Hai Madina
Khat padh ke Hussain Ibne Ali khoob sa Rowe aur Sar ko Jhukaye
Qaasid ke qaree'n rakh diya ek nanha sa Laasha Soona Hai Madina