Kanz e Aza

Sughra Diye Jalaye

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Baba Nisaar Haideri. Lyrics in Roman Urdu.

rauze pe mustafa ke sughra diye jalaye

ro ro ke nana jaan ko faryad bhi sunaye


kis ko mai dil dikhaun dukhda kise sunaun

aise gaye hai baba phir laut kar na aaye

rauze pe mustafa ke...


mai maanti hoo mannat sunlo dua ay nana

lillaah kisi ka baba beti ko na bhulaye

rauze pe mustafa ke...


ghar mein hai koi mitti jo laal hogayi hai

kehti hai umme salma sughra na dekh paaye

rauze pe mustafa ke...


sunti hoo ho chuki hai ibne hasaan ki shaadi

mai reh gayi tarasti saare gaye bulaye

rauze pe mustafa ke...


behno ko aa rahe hai khat bhaiyon ke paiham

meri dua hai nana akbar ka khat bhi aaye

rauze pe mustafa ke...