sughra mai lut kar aayi hoo
karbobala ki daastan
kaise sunegi natawan
bas ye samajh le neem jaan
sughra mai lut kar aayi hoo
do thay mere shams o qamar
aise gaye aaye na ghar
dono gaye suye jina
sughra mai lut kar...
meri kamayi lut gayi
tasveer e ahmed mit gayi
maara gaya kadiyal jawan
sughra mai lut kar...
sar kaat kar shabbir ka
naize pa laaye ashkhiya
kaise ho wo manzar bayan
sughra mai lut kar...
mai thi bhara darbar tha
wo shaam ka bazaar tha
beparda thi sab bibiyan
sughra mai lut kar...
kyun kar suraiya ho bayan
larze may tha kaun o makaan
zainab jo karti thi bayan
sughra mai lut kar...