sughra ne kaha haye baradar nahi aaye
akbar nahi aaye
bemaar behan unko kahan dhoondne jaye
akbar nahi aaye
kya jaaniye kis baat pe wo mujhse khafa hai
nazron se ye niha hai
yun ghar se gaye laut ke phir ghar nahi aaye
akbar nahi aaye
sughra ne kaha...
dum aankhon may atka hai nazar dar pe gadi hai
marne ki ghadi hai
kya jaaniye ab qabr meri kaun banaye
akbar nahi aaye
sughra ne kaha...
jis raah se aane ki khabar deke gaye thay
sau waade kiye thay
baithi hoo usi raah pe mai aas lagaye
akbar nahi aaye
sughra ne kaha...
bhai jo nahi paas to phir kaun hai mera
har soo hai andhera
hai kaun meri qabr pe jo shamma jalaye
akbar nahi aaye
sughra ne kaha...