sughra ne likha khat mein ke zehra ke dil o jaan
aadaab baja laati hai beti shahe zeeshan
amma ki judaai ne mera chain hai loota
hazrat ki judaai hai mere qatl ka samaan
sughra ne likha khat...
mai kaun tumhari hoo jiyun ya ke maroon mai
ay bhoolne walon mera koi nahi pursa
sughra ne likha khat...
bhaiya ali akbar to mujhe bhool hi baithe
kya aap bhi beti ko bhula baithe chacha jaan
sughra ne likha khat...
aana ho to aajao abhi jaan hai baakhi
surat ko taraste hai mere deedaye hairaan
sughra ne likha khat...
farmaiye akbar se meri simt se baba
bhaiya ye behan aap ki kuch din ki hai mehman
sughra ne likha khat...
hasrat hai ke akbar ki bala leke maroon mai
hangame nazha aap ka haathon mein ho daaman
sughra ne likha khat...
hathon pe chacha jaan ke ho mera janaza
kaandha mere taboot ko de akbar e zeeshan
sughra ne likha khat...
afsos ke tab pahuncha magar qasid e sughra
jab lut chuka tha khafilaye sarwar e zeeshan
sughra ne likha khat...
seene pe sina khaaye pade thay ali akbar
hathon ko kataye tha pada baazu e sultan
sughra ne likha khat...
ek teer se pehlu ali asghar ke laga tha
turbat pe buka karte thay baithe shah e zeeshan
sughra ne likha khat...
khat padke jigar phat gaya farzande nabi ka
qasid se kaha ayan hai mere qatl ka samaan
sughra ne likha khat...
abbas o ali akbar o qasim gaye maare
teeron ka sitam jhel gaya asghar e naadan
sughra ne likha khat...
mai teen shab o roz ka pyasa hi marunga
pani pe mera fateha dilwana meri jaan
sughra ne likha khat...
ab saath tumhare hai duaye meri sughra
ab tera khuda hafiz o nasir ho meri jaan
sughra ne likha khat...