Kanz e Aza

SUGHRA NE LIKHA BABA KAB LAOTKE AAOGE DUSHWAAR HUWA JEENA KAB LAOTKE AAOGE

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Alamdar Razvi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Roothi hai khushi Mujhse har lamha naya Gham hai

Dhadkan ki sadaao'n me tanhaai ka Maatam hai

Bhayya Ali Akbar ki furqat me ye aalam hai

Har Saans hai ek bhaala kab laotke Aaoge


Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge


Kya jaaniye aate hain kyun mujhko ye andeshe

Manzar nazar aate hain jalte huwe Qaimo'n ke

Reh reh ke na jaane kyun girti hai rida Sar se

Kya haal hai Phupiyo'n ka kab laotke Aaoge


Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge


Rehta hai tasawur me Chehra Ali Akbar ka

Phirta hai nigaho'n me Jhoola Ali Asghar ka

Allah Muhafiz hai ab Mere bhare Ghar ka

Ghabrata hai Dil Mera kab laotke Aaoge


Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge


Aafat ke musibat ke ghurbat ke manazir hain

Ghere huwe har lamha furgat ke manazir hain

Abtak bhi nigaho'n me rukhsat ke manazir hain

Yaad aata hai Ghar sara kab laotke Aaoge


Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge


Kal Aun-o Muhammad the aur Akbar-o Asghar the

Qasim tha Sakina thi Abbas-e Dilawar the

Saamaan Suku'n ke sab jis ghar me mayassar the

Us Ghar me hai sannata kab laotke Aaoge


Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge


Bhayya Ali Akbar ka jab byaah racha hoga

Soncha na Kisi ne bhi hai door bahut Sughra

Hasrat hai ke dekhu'n Main Bhai ko banhe Dulha

Koondhi hu'n yaha'n Sehra kab laotke Aaoge


Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge


Jab dekhti hu'n paani aansu'n nikal aate hain

Waswaas Mere dil ko har aan rulate hain

Kya pyaas ki eeza bhi Ghar waale uthate hain

Hai khushk Gala Mera kab laotke Aaoge


Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge


Kyun jaane mujhe aksar aata hai khayaal aisa

Yu'n lagta hai jaise ke beparda hai sab kunba

Allah rakhe Parda Zehra ke Gharaane ka

Dil kampta hai Mera kab laotke Aaoge


Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge


Shashmaha MeraBhai yaad aata hai reh reh kar

Kya ghutniyo'n Chalta hai ab Mera Ali Asghar

Ho pyaar Mera Baba Masoom ki aankhon par

Daali hu'n Main gehwaara kab laotke Aaoge


Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge


Kya yaas hai aye Razvi pohncha hai khate Sughra

Reti pa rakha Sheh ne Laasha Ali Asghar ka

Rone lage Beti ka Khat padke Shahe Waala

Khat me yehi likhatha kab laotke Aaoge


Sughra ne likha Baba kab laotke Aaoge