Ummul Baneen kay Gham Mai Maghoom hai Madina
Aanso Baha Rahi Hai Turbath Mai Aaj Zehra
Baitus Sharaf Paa Akar Chaukat Par Rakh Diya Sar
Kehnay Lagi Ali Say Ummul Baneen Tadap Kar
Kidmath Guzar Bankar Aae ho Meray Maula
Ummul Baneen kay Gham Mai Maghmoom hai Madina
Kulsum Aur Zainab Maa Kehke Lipti jisdam
Umul Baneen Rokar Kehney Lagi Ya Paihum
Mujho Na Kehiye Madar Hu Mai Kanizay-Zehra
Ummul Baneen kay Gham Mai Maghmoom hai Madina
Jab Chodkar Madina Shabeer Ja Rahay Thay
Bechain Hokay Usdum Ummul Baneen Say Bolay
Ab Apkay Hawalay Amma Hai Meri Sughra
Ummul Baneen kay Gham Mai Maghmoom hai Madina
Ummul Baneen ye Bolay Abbas Ko Bula Kar
Tu Laaj Rakhe Meri ye Maa Nisar Tujhpar
Beta Khayal Rakha Zehra ki Betiyon ka
Ummul Baneen kay Gham Mai Maghmoom hai Madina
Karbal Say Lut Kay Aya Jab Qafila Madina
Masjid Mai Padh Raha Tha Jisdam Basheer Nauha
Matam ki Gunj Mai Tha Har Lab Par wa Hussaina
Ummul Baneen kay Gham Mai Maghmoom hai Madina
Ummul Baneen Ponchi Turbath Pe Fatima Ki
Sar Peet Kar Musalsal Ye Keh Rahi Thi Bibi
Binte Rasool Doun Mai Kis Kis Ka Aaj Pursa
Ummul Baneen kay Gham Mai Maghmoom hai Madina
Sughra Ko Din Tasalli Sajjad Ko Dilasa
Ye Sounchti Thi Akhir Kyun Rehgai Main Zinda
Ruksath Huwe Jahan Sey Pyason Pai Karke Girya
Ummul Baneen kay Gham Mai Maghmoom hai Madina
Bimar Karbala Ka Dil Tukde Ho Raha Tha
Dadi Ki Lash Par Tha Sajjad Ka yeh Nawha
Ab Ap bhi Sidharay Kaisay Rahun Mai Tanha
Ummul Baneen kay Gham Mai Maghmoom hai Madina
Tabuth Utha Rahay Hai Umul Bani Ka Hum
Ansu Baha Rahey Hai Aur Kar Rahey Haimatam
Aur Daitain Hai Rasheed Ab Zainul Abid Ko Pursa
Ummul Baneen kay Gham Mai Maghmoom hai Madina