Kanz e Aza

Beton ki Maa

A noha for Ummul Baneen (s.a), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

khaafila zindan se chut kar jab madine aa gaya

daf'atan baab e madina par jo naqqara baja

ek manadi ne sada di odh kar shaale aza

chain se baithe ho kyun ay aashiqan e mustafa

jab suna ummul baneen ne fatema ka ghar luta

qatl sarwar hogaye zainab hui thi berida

maadar e abbas ne bechain ho kar di sada

kya nibhaya na mere abbas ne haq e wafa


badi sharmindagi hai tum se bibi

mujhe beton ki maa bole na koi


mera abbas kyun na kaam aaya

bacha na fatema zehra ka beta

banaya tha jise zaamin rida ka

bacha paaya na wo zainab ka parda

ali ka saamna kaisi karungi

badi sharmandi hai...

mujhe beton ki maa...


na jeene dega ab mujhko ye sadma

laqab jiska khuda wande wafa tha

kaha tha jisko zehra ne bhi beta

sabaq jisko ghulami ka padhaya

nibhaya kyun nahi haq e ghulami

badi sharmandi hai...

mujhe beton ki maa...


chida akbar ka seena halq e asghar

raha wo dekhne ko ye bhi manzar

raha na sar mere qasim ke tan par

lahoo mein tar huwe zainab ke dilbar

na uski nyaam se talwaar nikli

badi sharmandi hai...

mujhe beton ki maa...


tadap kar saani e zehra pukari

mai apne bhai pe sau baar waari

wohi to ek tha dhaaras hamari

thi uske dam se baaqi pardadari

khudara ab na ye kehna kabhi bhi

badi sharmandi hai...

mujhe beton ki maa...


baha hai sab se pehle khoon uska

baghair taygh wo kis tarha ladta

usay izn e wigha kab hi mila tha

nibhaya marte dam tak hukm e aaqa

ye tum se kehti hai zehra ki beti

badi sharmandi tum se hai bibi

mera maara gaya abbas e ghazi


mai zainab berida hargiz na hoti

kamar hoti na kham ibne ali ki

na lagti seena e akbar mein barchi

agar maara na jaaata mera ghazi

mere ghazi ki kismat bewafa thi

badi sharmandi tum se...

mera maara gaya...


ye sun kar maadar e abbas tadapti

kaha rab se hai ye faryad meri

har ek maa ko milay aulaad aisi

jawani jis ne aaqa pe fida ki

bina tasdeeq mai kya kya na boli

badi sharmandi tum se...

mera maara gaya...


liya pursa raza zainab se aise

bayan rehaan ho lafzon mein kaise

diye zainab ne ro ro kar dilaase

sunaye saare manzar karbala ke

tumhari lut gayi amma kameini

badi sharmandi tum se...

mera maara gaya...