mashk kaandhe pe liye ya ali kehke uthe
dekha jibreel ne jab darr gaye kehne lage
dekho abbas chale dekho abbas chale
alqama khair mana wo alamdar e wafa
khaa ke zehra ki qasam saath zainab ki dua
teri jaanib hai chala kaun rokega usay
dekho abbas chale...
zulfein wal lail hasham aankhein wan najm baham
tayghe hyder ki tarha dodo ab unke thay kham
seena tha misle asa baazu parcham se khule
dekho abbas chale...
jab alam unka khul;a hogayi saaf fiza
boli panje ki chamak marhaba salle alaa
alqama kehni lagi maut koi na bahe
dekho abbas chale...
daf'atan kaami zameen aagaya sab ko yaqeen
lashkare shaam ki ab khairiat koi nahi
al-amaan ki thi sada ghaiz aankhon may liye
dekho abbas chale...
pyase bachon ne kaha tishnagi hogi fana
chal ke qaimon ki taraf aayega ab darya
khaali koozon ne kaha lelo haathon may mujhe
dekho abbas chale...
thi sakina ki sada mil ke karte hai dua
ya ali kije madad hai jo ghusse may chacha
jaa ke darya pe unhe jang na yaad rahe
dekho abbas chale...
nagahaan shor hua sher ghode se gira
aas bachon ki gayi jab alam jhukne laga
jhuk gayi sheh ki kamar ro ke farmane lage
dekho abbas chale...
ghash sakina ko hua khaak pe kooza gira
khud ba khud girne lagi sar se zainab ki rida
boli darbaar may ab mai pukarungi kise
dekho abbas chale...
waqt rehaan tha kya ho ke be-baazu gira
saahil e zulm pe jab wo alamdar e wafa
haye us waqt raza keh ke shabbir gire
dekho abbas chale...