din dhal gaya shaam aa gayi abbas abbas na laute
shaam aur ghazab dha gayi abbas abbas na laute
baakhi nahi ansar na hai monis o yawar
maqtool-e-jafa ran may hue sarware aalam
karte hai haram shiddate aalaam se matam
sab khurdo kalzam aaho buka karte hai payham
ye kiski nazar kha gayi abbas abbas na laute
din dhalgaya shaam aagayi…
wo kaunse hai zulm jo bedeeno ne choday
atfaal e hussaini pe sitam haye ye today
ghash may pade bemaar ko maare gaye koday
taraaj kiya qaimon ko dauda diye ghoday
sadaat pe aanch aa gayi abbas abbas na laute
din dhalgaya shaam aagayi…
ghar loot liya cheeni rida qaime jalaye
zar loot ke saydaniyo ko durre lagaye
hai kaun jo aada ki jafa'on se bachaye
zainab kisay imdaad ko ab apni bulaye
ghurbat ki faza chagayi abbas abbas na laute
din dhalgaya shaam aagayi…
dar aaye qayame pisar-e-sheh may sitamgar
zakhmi kiya durro se tan e abide mustar
khayncha sitam afgaaro ne bemaar ka bistar
dekha gaya aflaak o zameen se na ye manzar
karbobal tharra gayi abbas abbas na laute
din dhalgaya shaam aagayi…
jab zainab-e-kubra ne khabar gham ki ye paayi
maqtal may kahin kho gayi shabbir ki jaayi
us waqt suqan lab pe ye binte ali laayi
ay dashte jafa kaisi jafa aur ye dhaayi
maa ghamzada ghabragayi abbas abbas na laute
din dhalgaya shaam aagayi…
aaghosh tumhari hai na hai baap ka seena
zid karti hai jaan khoti hai ro ro ke hazeena
aisa to kabhi dekha na tha bhai khareena
kyon aayi na darya pe tumhe yaad sakina
kya cheez wahan bha gayi abbas abbas na laute
din dhalgaya shaam aagayi…
raat aagayi daaman may liye apne qayamat
aaram se sab sogaye sar share shahadat
phir zulm-o-sitam dhaane lage ehle shaqawat
bewariso ke sar kule karne ko hifazat
balwe may bahan aa gayi abbas abbas na laute
din dhalgaya shaam aagayi…
kis tarha likhoon aur karoon kaise ye ada mai
kya kya na jafa'ein hui zindan-e-jafa may
rehte thay haram yun to shab-o-roz buka may
ek roz sakina ko anees hijre chacha may
zindan may neend aagayi abbas abbas na laute
din dhalgaya shaam aagayi…