Kanz e Aza

Diya Jalake sakina ke naam

A noha for Hazrat Abbas (a.s) (2023). Lyrics in Roman Urdu.

Maula Abbas - 4

Maula Hain Hamare Dil Unhe Pukare Bin Bazuo Ke Jo Taqdeere Likhte Hain


Babul Hawaij Fazl ke Baba Baali Sakina Ke Hain Chacha

Unko Bulao Sab Gham Sunao Hain Woh Sakhi Badshah


Ya Abbas

Diya Jalake Sakina Ke Naam Ka Ghar Me

Janabe Hazrat e Abbas Ko Bulaya Karo - 2

Kaha Kaha Wo Hamari Madad Nahi Karte


Kasam Sakina Ki Abbas Rad Nahi Karte -2

Baghair Mange Wo Sab Kuch Ata Karenge Tumhe

Sakina Bibi Ka Farshe Aza Bichaya Karo


Diya Jalake.....


Bahut Qareeb Hain Abbas Ke Yeh Shehzadi

Jo Dekhni Ho Muhabbat Chacha Bhatiji Ki-2

Tum Apne Ghar Me Sajate Hue Azakhana

Alam Pe Choti Si Ek Mashq Sajaya Karo


Diya Jalake.....


Misaal E Karbobala Hain Karam Nawazi Ki

Ye Kamsini Me Bhi Mushkil Kusha Hain Ghazi Ki - 2

Chacha Se Kehke Ghamon Se Tumhe Chuda Lengi

Sakina Bibi Ko Sab Haale Dil Sunaya Karo


Diya Jalake.....


Ay Kaash Dekhle Ghazi Hamare Ghar Ki Taraf

Ata Ho Aath Moharram Ko Haazri Ka Sharaf -2

Chacha Ke Saath Bhatiji Bhi Mere Ghar Aaye

Dua Ye Mang Ke Ghazi Ki Nazr Khaya Karo


Diya Jalake.....


Tum Iske Naam Ki Mannat Uthake Mango Dua

Hussain Sadqe Me Iske Karenge Beti Ata - 2

Tumhare Ghar Me Jab Aajaye Chand Se Beti

Kaneez e Bali Sakina Use Banaya Karo


Diya Jalake.....


Jise Namazon Me Manga Sukoon Sukoon Kehkar

Sukoon Kaise Mile Woh Nazar Na Aaye Agar - 2

Jise Bulake Yeh Aksar Hussain Kehte The

Sakina Ham Se Kabhi Dur Tum Na Jaaya Karo


Diya Jalake.....


Salam Uspe Jo Girti Sambhalti Rehti Thi

Wo Jiske Gaalon Ki Rangat Badalti Rehti Thi - 2

Tamache Khake Wo Zaalim Se Roke Kehti Rahi

Main Ek Yateem Hun Mujh Par Na Haath Uthaya Karo


Diya Jalake.....


Ye Zaireen Se Zeeshan Aur Raza Kehdo

Kisi Ka Shaam Agar Karbala Se Jaana Hon - 2

Lahad Pe Bibi Ke Ek Mashq Saath Le Jaakar

Ye Pani Bheja Hain Abbas Ne Bataya Karo


Diya Jalake.....

Babul Hawaij Fazl ke Baba Baali Sakina Ke Hain Chacha

Unko Bulao Sab Gham Sunao Hain Woh Sakhi Badshah